Firaq Gorakhpuri

har uqda-e-taqdir jahan khol rahi hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
har uqda-e-taqdīr jahāñ khol rahī hai
haañ dhyān se sunñā ye sadī bol rahī hai
añgḌā.iyāñ letī hai tamannā tirī dil meñ
shīshe meñ parī naaz ke par taul rahī hai
rah rah ke khanak jaatī hai saaqī ye shab-e-māh
ik jaam pilā ḳhunkī-e-shab bol rahī hai
dil tañg hai shab ko kafan-e-nūr pinhā ke
vo sub.h jo ġhunchoñ kī girah khol rahī hai
shabnam kī damak hai ki shab-e-māh kī devī
motī sar-e-gulzār-e-jahāñ rol rahī hai
rakhtī hai mashiyyat had-e-parvāz jahāñ bhī
insān kī himmat vahīñ par tol rahī hai
pahlū meñ shab-e-tār ke hai kaun sī duniyā
jis ke liye āġhosh sahar khol rahī hai
har aan vo rag rag meñ chaTaktī huī kaliyāñ
us shoḳh kī ik ek adā bol rahī hai
Top Urdushayar.com