mai-kade  meñ  aaj  ik  duniyā  ko  izn-e-ām  thā
daur-e-jām-e-be-ḳhudī  begāna-e-ayyām  thā
ruuh  larzāñ  aañkh  mahv-e-dīd  dil  kā  naam  thā
ishq  kā  āġhāz  bhī  shā.ista-e-anjām  thā
rafta  rafta  ishq  ko  tasvīr-e-ġham  kar  hī  diyā
husn  bhī  kitnā  ḳharāb-e-gardish-e-ayyām  thā
ġham-kade  meñ  dahr  ke  yuuñ  to  añdherā  thā  magar
ishq  kā  dāġh-e-siyah-baḳhtī  charāġh-e-shām  thā
terī  duzdīda-nigāhī  yuuñ  to  nā-mahsūs  thī
haañ  magar  daftar  kā  daftar  husn  kā  paiġhām  thā
shaaq  ahl-e-shauq  par  thiiñ  us  kī  ismat-dāriyāñ
sach  hai  lekin  husn  dar-parda  bahut  bad-nām  thā
mahv  the  gulzār-e-rañgā-rañg  ke  naqsh-o-nigār
vahshateñ  thī  dil  ke  sannāTe  the  dasht-e-shām  thā
be-ḳhatā  thā  husn  har  jaur-o-jafā  ke  ba.ad  bhī
ishq  ke  sar  tā-abad  ilzām  hī  ilzām  thā
yuuñ  garebāñ-chāk  duniyā  meñ  nahīñ  hotā  koī
har  khulā  gulshan  shahīd-e-gardish-e-ayyām  thā
dekh  husn-e-sharmagīñ  dar-parda  kyā  laayā  hai  rañg
ishq  rusvā-e-jahāñ  badnām  hī  badnām  thā
raunaq-e-bazm-e-jahāñ  thā  go  dil-e-ġham-ghīñ  'firāq'
sard  thā  afsurda  thā  mahrūm  thā  nākām  thā