ye  maut-o-adam  kaun-o-makāñ  aur  hī  kuchh  hai
sun  le  ki  mirā  nām-o-nishāñ  aur  hī  kuchh  hai
itnā  to  yaqīñ  hai  ki  vahī  haiñ  tirī  āñkheñ
is  par  bhī  magar  vahm-o-gumāñ  aur  hī  kuchh  hai
sho.aloñ  meñ  vo  andāz  kahāñ  soz-e-nihāñ  ke
uThtā  hai  jo  dil  se  vo  dhuāñ  aur  hī  kuchh  hai
ik  kaifiyat-e-rāz  hai  ġham  hai  na  masarrat
is  bazm-e-mohabbat  meñ  samāñ  aur  hī  kuchh  hai
jo  marhala-e-qurbat-o-dūrī  se  guzar  jaa.e
sunte  haiñ  ki  vo  jazb-e-nihāñ  aur  hī  kuchh  hai
yā  dard  ke  naġhmoñ  meñ  vahī  hai  tirī  āvāz
yā  parda-e-sāz-e-rag-e-jāñ  aur  hī  kuchh  hai
ye  niiñd  kā  jhoñkā  to  nahīñ  be-ḳhudī-e-ishq
hushyār  ki  vo  ḳhvāb-e-girāñ  aur  hī  kuchh  hai
ab  maut  bhī  hai  gard-rah-e-kūcha-e-jānāñ
un  manziloñ  meñ  umr-e-ravāñ  aur  hī  kuchh  hai
achchhe  haiñ  jahāñ  haiñ  magar  ai  dāman-e-jānāñ
paate  haiñ  jo  tujh  meñ  vo  amaañ  aur  hī  kuchh  hai
bijlī  ke  chamakne  meñ  kahāñ  ishq  kī  garmī
vo  shola-e-larzāñ-o-tapāñ  aur  hī  kuchh  hai
jo  zaḳhm  khilā  de  jo  mirā  rañg  uḌā  de
vo  fasl-e-gul  o  fasl-e-ḳhizāñ  aur  hī  kuchh  hai
ik  ḳhvāb-e-parīshāñ  se  haiñ  is  daur  ke  āsār
hushyār  ki  ab  rañg-e-jahāñ  aur  hī  kuchh  hai
ik  chiiz  hai  nairañgī-e-rudād-e-mohabbat
lekin  ba-hadīs-e-digarāñ  aur  hī  kuchh  hai
shā.ir  haiñ  'firāq'  aur  bhī  is  daur  meñ  lekin
ye  rañg-e-bayāñ  rañg-e-zabāñ  aur  hī  kuchh  hai