jaur-o-be-mehrī-e-iġhmāz  pe  kyā  rotā  hai
mehrbāñ  bhī  koī  ho  jā.egā  jaldī  kyā  hai
kho  diyā  tum  ko  to  ham  pūchhte  phirte  haiñ  yahī
jis  kī  taqdīr  bigaḌ  jaa.e  vo  kartā  kyā  hai
dil  kā  ik  kaam  jo  hotā  nahīñ  ik  muddat  se
tum  zarā  haath  lagā  do  to  huā  rakkhā  hai
nigah-e-shoḳh  meñ  aur  dil  meñ  haiñ  choTeñ  kyā  kyā
aaj  tak  ham  na  samajh  paa.e  ki  jhagḌā  kyā  hai
ishq  se  tauba  bhī  hai  husn  se  shikve  bhī  hazār
kahiye  to  hazrat-e-dil  aap  kā  manshā  kyā  hai
zīnat-e-dosh  tirā  nāma-e-a.amāl  na  ho
terī  dastār  se  vaa.iz  ye  laTaktā  kyā  hai
haañ  abhī  vaqt  kā  ā.īna  dikhā.e  kyā  kyā
dekhte  jaao  zamāna  abhī  dekhā  kyā  hai
na  yagāne  haiñ  na  begāne  tirī  mahfil  meñ
na  koī  ġhair  yahāñ  hai  na  koī  apnā  hai
nigah-e-mast  ko  jumbish  na  hui  go  sar-e-bazm
kuchh  to  is  jām-e-labā-lab  se  abhī  chhalkā  hai
rāt-din  phirtī  hai  palkoñ  ke  jo  saa.e  saa.e
dil  mirā  us  nigah-e-nāz  kā  dīvānā  hai
ham  judā.ī  se  bhī  kuchh  kaam  to  le  hī  leñge
be-niyāzāna  ta.alluq  hī  chhuTā  achchhā  hai
un  se  baḌh-chaḌh  ke  to  ai  dost  haiñ  yādeñ  in  kī
nāz-o-andāz-o-adā  meñ  tirī  rakkhā  kyā  hai
aisī  bātoñ  se  badaltī  hai  kahīñ  fitrat-e-husn
jaan  bhī  de  de  agar  koī  to  kyā  hotā  hai
tirī  āñkhoñ  ko  bhī  inkār  tirī  zulf  ko  bhī
kis  ne  ye  ishq  ko  dīvāna  banā  rakkhā  hai
dil  tirā  jaan  tirī  aah  tirī  ashk  tire
jo  hai  ai  dost  vo  terā  hai  hamārā  kyā  hai
dar-e-daulat  pe  duā.eñ  sī  sunī  haiñ  maiñ  ne
dekhiye  aaj  faqīroñ  kā  kidhar  pherā  hai
tujh  ko  ho  jā.eñge  shaitān  ke  darshan  vaa.iz
Daal  kar  muñh  ko  garebāñ  meñ  kabhī  dekhā  hai
ham  kahe  dete  haiñ  chāloñ  meñ  na  aao  un  kī
sarvat-o-jāh  ke  ishvoñ  se  bacho  dhokā  hai
yahī  gar  aañkh  meñ  rah  jaa.e  to  hai  chiñgārī
qatra-e-ashk  jo  bah  jaa.e  to  ik  dariyā  hai
zulf-e-shab-gūñ  ke  sivā  nargis-e-jādū  ke  sivā
dil  ko  kuchh  aur  balāoñ  ne  bhī  aa  gherā  hai
lab-e-ejāz  kī  saugand  ye  jhankār  thī  kyā
terī  ḳhāmoshī  ke  mānind  abhī  kuchh  TuuTā  hai
daar  par  gaah  nazar  gaah  sū-e-shahr-e-nigār
kuchh  suneñ  ham  bhī  to  ai  ishq  irāda  kyā  hai
aa  ki  ġhurbat-kada-e-dahr  meñ  jī  bahlā.eñ
ai  dil  us  jalva-gah-e-nāz  meñ  kyā  rakkhā  hai
zaḳhm  hī  zaḳhm  huuñ  maiñ  sub.h  kī  mānind  'firāq'
raat  bhar  hijr  kī  lazzat  se  mazā  luuTā  hai