nigāh-e-nāz  ne  parde  uThā.e  haiñ  kyā  kyā
hijāb  ahl-e-mohabbat  ko  aa.e  haiñ  kyā  kyā
jahāñ  meñ  thī  bas  ik  afvāh  tere  jalvoñ  kī
charāġh-e-dair-o-haram  jhilmilā.e  haiñ  kyā  kyā
do-chār  barq-e-tajallī  se  rahne  vāloñ  ne
fareb  narm-nigāhī  ke  khaa.e  haiñ  kyā  kyā
diloñ  pe  karte  hue  aaj  aatī  jaatī  choT
tirī  nigāh  ne  pahlū  bachā.e  haiñ  kyā  kyā
nisār  nargis-e-mai-gūñ  ki  aaj  paimāne
laboñ  tak  aa.e  hue  thartharā.e  haiñ  kyā  kyā
vo  ik  zarā  sī  jhalak  barq-e-kam-nigāhī  kī
jigar  ke  zaḳhm-e-nihāñ  muskurā.e  haiñ  kyā  kyā
charāġh-e-tūr  jale  ā.ina-dar-ā.īna
hijāb  barq-e-adā  ne  uThā.e  haiñ  kyā  kyā
ba-qadr-e-zauq-e-nazar  dīd-e-husn  kyā  ho  magar
nigāh-e-shauq  meñ  jalve  samā.e  haiñ  kyā  kyā
kahīñ  charāġh  kahīñ  gul  kahīñ  dil-e-barbād
ḳhirām-e-nāz  ne  fitne  uThā.e  haiñ  kyā  kyā
taġhāful  aur  baḌhā  us  ġhazāl-e-ra.anā  kā
fusūn-e-ġham  ne  bhī  jaadū  jagā.e  haiñ  kyā  kyā
hazār  fitna-e-bedār  ḳhvāb-e-rañgīñ  meñ
chaman  meñ  ġhuncha-e-gul-rañg  laa.e  haiñ  kyā  kyā
tire  ḳhulūs-e-nihāñ  kā  to  aah  kyā  kahnā
sulūk  uchaTTe  bhī  dil  meñ  samā.e  haiñ  kyā  kyā
nazar  bachā  ke  tire  ishva-hā-e-pinhāñ  ne
diloñ  meñ  dard-e-mohabbat  uThā.e  haiñ  kyā  kyā
payām-e-husn  payām-e-junūñ  payām-e-fanā
tirī  nigah  ne  fasāne  sunā.e  haiñ  kyā  kyā
tamām  husn  ke  jalve  tamām  mahrūmī
bharam  nigāh  ne  apne  gañvā.e  haiñ  kyā  kyā
'firāq'  rāh-e-vafā  meñ  subuk-ravī  terī
baḌe-baḌoñ  ke  qadam  Dagmagā.e  haiñ  kyā  kyā