zamīñ  badlī  falak  badlā  mazāq-e-zindagī  badlā
tamaddun  ke  qadīm  aqdār  badle  aadmī  badlā
ḳhudā-o-ahrman  badle  vo  īmān-e-duī  badlā
hudūd-e-ḳhair-o-shar  badle  mazāq-e-kāfirī  badlā
na.e  insān  kā  jab  daur-e-ḳhud-nā-āgahī  badlā
rumūz-e-be-ḳhudī  badle  taqāzā-e-ḳhudī  badlā
badalte  jā  rahe  haiñ  ham  bhī  duniyā  ko  badalne  meñ
nahīñ  badlī  abhī  duniyā  to  duniyā  ko  abhī  badlā
na.ī  manzil  ke  mīr-e-kārvāñ  bhī  aur  hote  haiñ
purāne  ḳhizr-e-rah  badle  vo  tarz-e-rahbarī  badlā
kabhī  sochā  bhī  hai  ai  nazm-e-kohna  ke  ḳhudā-vando
tumhārā  hashr  kyā  hogā  jo  ye  aalam  kabhī  badlā
udhar  pichhle  se  ahl-e-māl-o-zar  par  raat  bhārī  hai
idhar  bedārī-e-jamhūr  kā  andāz  bhī  badlā
zahe  soz-e-ġham-e-ādam  ḳhushā  sāz-e-dil-e-ādam
isī  ik  sham.a  kī  lau  ne  jahān-e-tīrgī  badlā
na.e  mansūr  haiñ  sadiyoñ  purāne  sheḳh-o-qāzī  haiñ
na  fatve  kufr  ke  badle  na  uzr-e-dār  hī  badlā
batā.e  to  batā.e  us  ko  terī  shoḳhī-e-pinhāñ
tirī  chashm-e-tavajjoh  hai  ki  tarz-e-be-ruḳhī  badlā
ba-faiz-e-ādam-e-ḳhākī  zamīñ  sonā  ugaltī  hai
usī  zarre  ne  daur-e-mehr-o-māh-o-mushtarī  badlā
sitāre  jāgte  haiñ  raat  laT  chhaTkā.e  sotī  hai
dabe  paañv  kisī  ne  aa  ke  ḳhvāb-e-zindagī  badlā
'firāq'  ham-navā-e-'mīr'-o-'ġhālib'  ab  na.e  naġhme
vo  bazm-e-zindagī  badlī  vo  rañg-e-shā.irī  badlā