tumheñ  kyūñkar  batā.eñ  zindagī  ko  kyā  samajhte  haiñ
samajh  lo  saañs  lenā  ḳhud-kushī  karnā  samajhte  haiñ
kisī  badmast  ko  rāz-āshnā  sab  kā  samajhte  haiñ
nigāh-e-yār  tujh  ko  kyā  batā.eñ  kyā  samajhte  haiñ
bas  itne  par  hameñ  sab  log  dīvāna  samajhte  haiñ
ki  is  duniyā  ko  ham  ik  dūsrī  duniyā  samajhte  haiñ
kahāñ  kā  vasl  tanhā.ī  ne  shāyad  bhes  badlā  hai
tire  dam  bhar  ke  mil  jaane  ko  ham  bhī  kyā  samajhte  haiñ
umīdoñ  meñ  bhī  un  kī  ek  shān-e-be-niyāzī  hai
har  āsānī  ko  jo  dushvār  ho  jaanā  samajhte  haiñ
yahī  zid  hai  to  ḳhair  āñkheñ  uThāte  haiñ  ham  us  jānib
magar  ai  dil  ham  is  meñ  jaan  kā  khaTkā  samajhte  haiñ
kahīñ  hoñ  tere  dīvāne  Thahar  jaa.eñ  to  zindāñ  hai
jidhar  ko  muñh  uThā  kar  chal  paḌe  sahrā  samajhte  haiñ
jahāñ  kī  fitrat-e-begāna  meñ  jo  kaif-e-ġham  bhar  deñ
vahī  jiinā  samajhte  haiñ  vahī  marnā  samajhte  haiñ
hamārā  zikr  kyā  ham  ko  to  hosh  aayā  mohabbat  meñ
magar  ham  qais  kā  dīvāna  ho  jaanā  samajhte  haiñ
na  shoḳhī  shoḳh  hai  itnī  na  purkār  itnī  purkārī
na  jaane  log  terī  sādgī  ko  kyā  samajhte  haiñ
bhulā  diiñ  ek  muddat  kī  jafā.eñ  us  ne  ye  kah  kar
tujhe  apnā  samajhte  the  tujhe  apnā  samajhte  haiñ
ye  kah  kar  ābla-pā  rauñdte  jaate  haiñ  kāñToñ  ko
jise  talvoñ  meñ  kar  leñ  jazb  use  sahrā  samajhte  haiñ
ye  hastī  nīstī  sab  mauj-ḳhezī  hai  mohabbat  kī
na  ham  qatra  samajhte  haiñ  na  ham  dariyā  samajhte  haiñ
'firāq'  is  gardish-e-ayyām  se  kab  kaam  niklā  hai
sahar  hone  ko  bhī  ham  raat  kaT  jaanā  samajhte  haiñ