apne  ġham  kā  mujhe  kahāñ  ġham  hai
ai  ki  terī  ḳhushī  muqaddam  hai
aag  meñ  jo  paḌā  vo  aag  huā
husn-e-soz-e-nihāñ  mujassam  hai
us  ke  shaitān  ko  kahāñ  taufīq
ishq  karnā  gunāh-e-ādam  hai
dil  ke  dhaḌkoñ  meñ  zor-e-zarb-e-kalīm
kis  qadar  is  habāb  meñ  dam  hai
hai  vahī  ishq  zinda-o-jāved
jise  āb-e-hayāt  bhī  sam  hai
is  meñ  Thahrāv  yā  sukūn  kahāñ
zindagī  inqalāb-e-paiham  hai
ik  taḌap  mauj-e-tah-nashīñ  kī  tarah
zindagī  kī  binā-e-mohkam  hai
rahtī  duniyā  meñ  ishq  kī  duniyā
na.e  unvān  se  munazzam  hai
uThne  vaalī  hai  bazm  maazī  kī
raushnī  kam  hai  zindagī  kam  hai
ye  bhī  nazm-e-hayāt  hai  koī
zindagī  zindagī  kā  mātam  hai
ik  muamma  hai  zindagī  ai  dost
ye  bhī  terī  adā-e-mub.ham  hai
ai  mohabbat  tū  ik  azaab  sahī
zindagī  be  tire  jahannam  hai
ik  talātum  sā  rañg-o-nik.hat  kā
paikar-e-nāz  meñ  damā-dam  hai
phirne  ko  hai  rasīlī  nīm-nigāh
āhū-e-nāz  mā.il-e-ram  hai
ruup  ke  jot  zer-e-pairāhan
gulsitāñ  par  ridā-e-shabnam  hai
mere  siine  se  lag  ke  so  jaao
palkeñ  bhārī  haiñ  raat  bhī  kam  hai
aah  ye  mehrbāniyāñ  terī
shādmānī  kī  aañkh  pur-nam  hai
narm  o  doshīza  kis  qadr  hai  nigāh
har  nazar  dāstān-e-maryam  hai
mehr-o-mah  shola-hā-e-sāz-e-jamāl
jis  kī  jhankār  itnī  maddham  hai
jaise  uchhle  junūñ  kī  pahlī  shaam
is  adā  se  vo  zulf  barham  hai
yuuñ  bhī  dil  meñ  nahīñ  vo  pahlī  umañg
aur  terī  nigāh  bhī  kam  hai
aur  kyuuñ  chheḌtī  hai  gardish-e-charḳh
vo  nazar  phir  ga.ī  ye  kyā  kam  hai
rū-kash-e-sad-harīm-e-dil  hai  fazā
vo  jahāñ  haiñ  ajiib  aalam  hai
diye  jaatī  hai  lau  sadā-e-'firāq'
haañ  vahī  soz-o-sāz  kam  kam  hai