ishq  kī  māyūsiyoñ  meñ  soz-e-pinhāñ  kuchh  nahīñ
is  havā  meñ  ye  charāġh-e-zer-e-dāmāñ  kuchh  nahīñ
kyā  hai  dekho  hasrat-e-sair-e-gulistāñ  kuchh  nahīñ
kuchh  nahīñ  ai  sakinān-e-kunj-e-zindāñ  kuchh  nahīñ
ishq  kī  hai  ḳhud-numā.ī  ishq  kī  āshuftagī
rū-e-tābāñ  kuchh  nahīñ  zulf-e-pareshāñ  kuchh  nahīñ
yaad  aa  hī  jaatī  hai  aksar  dil-e-barbād  kī
yuuñ  to  sach  hai  chand  zarrāt-e-pareshāñ  kuchh  nahīñ
sach  hai  jo  kuchh  bhī  hai  vo  hai  garmī-e-bāzār-e-husn
ahl-e-dil  kā  soz-e-pinhāñ  kuchh  nahīñ  haañ  kuchh  nahīñ
aur  un  kī  zindagī  hai  aur  unvān-e-hayāt
ḳhud-farāmoshoñ  ko  tere  ahd-o-paimāñ  kuchh  nahīñ
ek  ho  jaa.e  na  jab  tak  sarhad-e-hosh-o-junūñ
ek  ho  kar  chāk-e-dāmān-o-garebāñ  kuchh  nahīñ
jo  na  ho  jaa.e  vo  kam  hai  jo  bhī  ho  jaa.e  bahut
kār-zār-e-ishq  meñ  dushvār-o-āsāñ  kuchh  nahīñ
dekhnī  thī  dekh  lī  is  chheḌ  kī  bhī  sādgī
be-diloñ  meñ  ye  tabassum-hā-e-pinhāñ  kuchh  nahīñ
kaash  apne  dard  se  betāb  hote  ai  'firāq'
dūsre  ke  hāthoñ  ye  hāl-e-pareshāñ  kuchh  nahīñ