Firaq Gorakhpuri

sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
shām-e-ġham kuchh us nigāh-e-nāz kī bāteñ karo
be-ḳhudī baḌhtī chalī hai raaz kī bāteñ karo
ye sukūt-e-nāz ye dil kī ragoñ kā TūTnā
ḳhāmushī meñ kuchh shikast-e-sāz kī bāteñ karo
nik.hat-e-zulf-e-pareshāñ dāstān-e-shām-e-ġham
sub.h hone tak isī andāz kī bāteñ karo
har rag-e-dil vajd meñ aatī rahe dukhtī rahe
yūñhī us ke jā-o-bejā naaz kī bāteñ karo
jau adam kī jaan hai jo hai payām-e-zindagī
us sukūt-e-rāz us āvāz kī bāteñ karo
ishq rusvā ho chalā be-kaif sā bezār sā
aaj us kī nargas-e-ġhammaz kī bāteñ karo
naam bhī lenā hai jis kā ik jahān-e-rañg-o-bū
dosto us nau-bahār-e-nāz kī bāteñ karo
kis liye uzr-e-taġhāful kis liye ilzām-e-ishq
aaj charḳh-e-tafraqa-parvāz kī bāteñ karo
kuchh qafas kī tīliyoñ se chhan rahā hai nuur sā
kuchh fazā kuchh hasrat-e-parvāz kī bāteñ karo
jo hayāt-e-jāvidāñ hai jo hai marg-e-nā-gahāñ
aaj kuchh us naaz us andāz kī bāteñ karo
ishq-e-be-parvā bhī ab kuchh nā-shakebā ho chalā
shoḳhī-e-husn-e-karishma-sāz kī bāteñ karo
jis kī furqat ne palaT dī ishq kī kaayā 'firāq'
aaj us īsā-nafas dam-sāz kī bāteñ karo
Top Urdushayar.com