Firaq Gorakhpuri

samajhta hun ki tu mujhse juda hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
samajhtā huuñ ki tū mujh se judā hai
shab-e-furqat mujhe kyā ho gayā hai
tirā ġham kyā hai bas ye jāntā huuñ
ki merī zindagī mujh se ḳhafā hai
kabhī ḳhush kar ga.ī mujh ko tirī yaad
kabhī āñkhoñ meñ aañsū aa gayā hai
hijāboñ ko samajh baiThā maiñ jalva
nigāhoñ ko baḌā dhokā huā hai
bahut duur ab hai dil se yaad terī
mohabbat kā zamāna aa rahā hai
na jī ḳhush kar sakā terā karam bhī
mohabbat ko baḌā dhokā rahā hai
kabhī taḌpā gayā hai dil tirā ġham
kabhī dil ko sahārā de gayā hai
shikāyat terī dil se karte karte
achānak pyaar tujh par aa gayā hai
jise chauñkā ke tū ne pher lī aañkh
vo terā dard ab tak jāgtā hai
jahāñ hai maujzan rañgīnī-e-husn
vahīñ dil kā kañval lahrā rahā hai
gulābī hotī jaatī haiñ fazā.eñ
koī is rañg se sharmā rahā hai
mohabbat tujh se thī qabl-az-mohabbat
kuchh aisā yaad mujh ko aa rahā hai
judā āġhāz se anjām se duur
mohabbat ik musalsal mājrā hai
ḳhudā-hāfiz magar ab zindagī meñ
faqat apnā sahārā rah gayā hai
mohabbat meñ 'firāq' itnā na ġham kar
zamāne meñ yahī hotā rahā hai
Top Urdushayar.com