samajhtā  huuñ  ki  tū  mujh  se  judā  hai
shab-e-furqat  mujhe  kyā  ho  gayā  hai
tirā  ġham  kyā  hai  bas  ye  jāntā  huuñ
ki  merī  zindagī  mujh  se  ḳhafā  hai
kabhī  ḳhush  kar  ga.ī  mujh  ko  tirī  yaad
kabhī  āñkhoñ  meñ  aañsū  aa  gayā  hai
hijāboñ  ko  samajh  baiThā  maiñ  jalva
nigāhoñ  ko  baḌā  dhokā  huā  hai
bahut  duur  ab  hai  dil  se  yaad  terī
mohabbat  kā  zamāna  aa  rahā  hai
na  jī  ḳhush  kar  sakā  terā  karam  bhī
mohabbat  ko  baḌā  dhokā  rahā  hai
kabhī  taḌpā  gayā  hai  dil  tirā  ġham
kabhī  dil  ko  sahārā  de  gayā  hai
shikāyat  terī  dil  se  karte  karte
achānak  pyaar  tujh  par  aa  gayā  hai
jise  chauñkā  ke  tū  ne  pher  lī  aañkh
vo  terā  dard  ab  tak  jāgtā  hai
jahāñ  hai  maujzan  rañgīnī-e-husn
vahīñ  dil  kā  kañval  lahrā  rahā  hai
gulābī  hotī  jaatī  haiñ  fazā.eñ
koī  is  rañg  se  sharmā  rahā  hai
mohabbat  tujh  se  thī  qabl-az-mohabbat
kuchh  aisā  yaad  mujh  ko  aa  rahā  hai
judā  āġhāz  se  anjām  se  duur
mohabbat  ik  musalsal  mājrā  hai
ḳhudā-hāfiz  magar  ab  zindagī  meñ
faqat  apnā  sahārā  rah  gayā  hai
mohabbat  meñ  'firāq'  itnā  na  ġham  kar
zamāne  meñ  yahī  hotā  rahā  hai