hijr-o-visāl-e-yār  kā  parda  uThā  diyā
ḳhud  baḌh  ke  ishq  ne  mujhe  merā  patā  diyā
gard-o-ġhubār-e-hastī-e-fānī  uḌā  diyā
ai  kīmiyā-e-ishq  mujhe  kyā  banā  diyā
vo  sāmne  hai  aur  nazar  se  chhupā  diyā
ai  ishq-e-be-hijāb  mujhe  kyā  dikhā  diyā
vo  shān-e-ḳhāmushī  ki  bahāreñ  haiñ  muntazir
vo  rañg-e-guftugū  ki  gulistāñ  banā  diyā
dam  le  rahī  thiiñ  husn  kī  jab  sehr-kāriyāñ
in  vaqfa-hā-e-kufr  ko  īmāñ  banā  diyā
ma.alūm  kuchh  mujhī  ko  haiñ  un  kī  ravāniyāñ
jin  qatra-hā-e-ashk  ko  dariyā  banā  dayā
ik  barq-e-be-qarār  thī  tamkīn-e-husn  bhī
jis  vaqt  ishq  ko  ġham-e-sabr-āzmā  diyā
saaqī  mujhe  bhī  yaad  haiñ  vo  tishna-kāmiyāñ
jin  ko  harīf-e-sāġhar-o-mīnā  banā  diyā
ma.alūm  hai  haqīqat-e-ġham-hā-e-rozgār
duniyā  ko  tere  dard  ne  duniyā  banā  diyā
ai  shoḳhi-e-nigāh-e-karam  muddatoñ  ke  ba.ad
ḳhvāb-e-girān-e-ġham  se  mujhe  kyuuñ  jagā  diyā
kuchh  shorisheñ  taġhāful-e-pinhāñ  meñ  thiiñ  jinheñ
hañgāma-zār-e-hashr-e-tamannā  banā  diyā
baḌhtā  hī  jā  rahā  hai  jamāl-e-nazar-fareb
husn-e-nazar  ko  husn-e-ḳhud-ārā  banā  diyā
phir  dekhnā  nigāh  laḌī  kis  se  ishq  kī
gar  husn  ne  hijāb-e-taġhāful  uThā  diyā
jab  ḳhuun  ho  chukā  dil-e-hastī-e-etibār
kuchh  dard  bach  rahe  jinheñ  insāñ  banā  diyā
gum-karda-e-vafūr-e-ġham-e-intizār  huuñ
tū  kyā  chhupā  ki  mujh  ko  mujhī  se  chhupā  diyā
raat  ab  harīf-e-sub.h-e-qayāmat  hī  kyuuñ  na  ho
jo  kuchh  bhī  ho  us  aañkh  ko  ab  to  jagā  diyā
ab  maiñ  huuñ  aur  lutf-o-karam  ke  takallufāt
ye  kyuuñ  hijāb-e-ranjish-e-be-jā  banā  diyā
thī  yuuñ  to  shām-e-hijr  magar  pichhlī  raat  ko
vo  dard  uThā  'firāq'  ki  maiñ  muskurā  diyā