sar  meñ  saudā  bhī  nahīñ  dil  meñ  tamannā  bhī  nahīñ
lekin  is  tark-e-mohabbat  kā  bharosā  bhī  nahīñ
dil  kī  gintī  na  yagānoñ  meñ  na  begānoñ  meñ
lekin  us  jalva-gah-e-nāz  se  uThtā  bhī  nahīñ
mehrbānī  ko  mohabbat  nahīñ  kahte  ai  dost
aah  ab  mujh  se  tirī  ranjish-e-bejā  bhī  nahīñ
ek  muddat  se  tirī  yaad  bhī  aa.ī  na  hameñ
aur  ham  bhuul  ga.e  hoñ  tujhe  aisā  bhī  nahīñ
aaj  ġhaflat  bhī  un  āñkhoñ  meñ  hai  pahle  se  sivā
aaj  hī  ḳhātir-e-bīmār  shakebā  bhī  nahīñ
baat  ye  hai  ki  sukūn-e-dil-e-vahshī  kā  maqām
kunj-e-zindāñ  bhī  nahīñ  vus.at-e-sahrā  bhī  nahīñ
are  sayyād  hamīñ  gul  haiñ  hamīñ  bulbul  haiñ
tū  ne  kuchh  aah  sunā  bhī  nahīñ  dekhā  bhī  nahīñ
aah  ye  majma-e-ahbāb  ye  bazm-e-ḳhāmosh
aaj  mahfil  meñ  'firāq'-e-suḳhan-ārā  bhī  nahīñ
ye  bhī  sach  hai  ki  mohabbat  pe  nahīñ  maiñ  majbūr
ye  bhī  sach  hai  ki  tirā  husn  kuchh  aisā  bhī  nahīñ
yuuñ  to  hañgāme  uThāte  nahīñ  dīvāna-e-ishq
magar  ai  dost  kuchh  aisoñ  kā  Thikānā  bhī  nahīñ
fitrat-e-husn  to  ma.alūm  hai  tujh  ko  hamdam
chāra  hī  kyā  hai  ba-juz  sabr  so  hotā  bhī  nahīñ
muñh  se  ham  apne  burā  to  nahīñ  kahte  ki  'firāq'
hai  tirā  dost  magar  aadmī  achchhā  bhī  nahīñ