fasīl-e-zāt  se  bāhar  bhī  dekhnā  hai  mujhe
shikast-e-ḳhvāb  kā  manzar  bhī  dekhnā  hai  mujhe
abhī  to  maiñ  ne  faqat  bārishoñ  ko  jhelā  hai
ab  is  ke  ba.ad  samundar  bhī  dekhnā  hai  mujhe
banā  rahā  huuñ  abhī  ghar  ko  ā.ina-ḳhāna
phir  apne  haath  meñ  patthar  bhī  dekhnā  hai  mujhe
sipāh-e-kār-e-jahāñ  se  nimaT  chukā  huuñ  magar
tumhārī  yaad  kā  lashkar  bhī  dekhnā  hai  mujhe
abhī  to  ġham  ko  suḳhan  karnā  sahal  hai  'ārif'
maqām-e-ijz-e-suḳhnavar  bhī  dekhnā  hai  mujhe