Firaq Gorakhpuri

jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
jin kī zindagī dāman tak hai bechāre farzāne haiñ
ḳhaak uḌāte phirte haiñ jo dīvāne dīvāne haiñ
vahdat-e-insāñ apne ko shā.ir se manvā letī hai
kyā anjāne kyā begāne sab jāne-pahchāne haiñ
mujh ko shā.ir kahne vaalo maiñ kyā merī ġhazleñ kyā
maiñ ne to bas sarkār-e-ishq meñ kuchh parche guzrāne haiñ
bhole-bhāle mahbūboñ se dāñv-pech kuchh chal na sakā
ham ye samajhte rahe abhī tak ham bhī kitne siyāne haiñ
hosh-o-ḳhirad kyā josh-e-junūñ kyā ulTī gañgā bahtī hai
kyā farzāne kaise siyāne yaaro sab dīvāne haiñ
jal-bujhne kī bhī taufīq kahāñ ushshāq kī qismat meñ
ik an-dekhī sham-e-bazm ke dil vaale parvāne haiñ
shā.ir se hamdardī sīkho duniyā ke ġham-ḳhāne meñ
jitne ġham haiñ duniyā bhar meñ is ke māne-jāne haiñ
shahr-e-nigārāñ shahr-e-nigārāñ kaun batā.e kaisā hai
pūchhte ho kyā ham se yaaro ham bhī to begāne haiñ
bas vo unhī se fitrat ko ḳhāloñ ke libās pahnātā hai
shā.ir ke palle kyā hai gītoñ ke tāne-bāne haiñ
kitne begāne hote haiñ ye jāne-pahchāne log
jaane hue bhī ba-qaul hamāre anjāne begāne haiñ
aaj se pahle kab the vatan meñ be-vatanī ke ye lachchhan
logoñ ko ye kahte sunā hai ghar bhī ġhurbat-ḳhāne haiñ
kuchh nahīñ khultā kis kī zad meñ ye hastī-e-gurezāñ hai
ham jo itne bache phirte haiñ kin tīroñ ke nishāne haiñ
is gum-karda-e-dīda-o-dil ko kal tak kitne jānte the
ab to 'firāq'-e-be-ḳhud ke aalam aalam afsāne haiñ
Top Urdushayar.com