chheḌ  ai  dil  ye  kisī  shoḳh  ke  ruḳhsāroñ  se
khelnā  aah  dahakte  hue  añgāroñ  se
ham  shab-e-hijr  meñ  jab  sotī  hai  saarī  duniyā
zikr  karte  haiñ  tirā  chhiTke  hue  tāroñ  se
ashk  bhar  laa.e  kisī  ne  jo  tirā  naam  liyā
aur  kyā  hijr  meñ  hotā  tire  bīmāroñ  se
chheḌ  naġhma  koī  go  dil  kī  shikasta  haiñ  rageñ
ham  nikāleñge  sadā  TuuTe  hue  tāroñ  se
ham  ko  terī  hai  zarūrat  na  ise  bhuul  ai  dost
tere  iqrāroñ  se  matlab  hai  na  inkāroñ  se
ham  haiñ  vo  bekas-o-be-yār  ki  baiThe  baiThe
apnā  dukh-dard  kahā  karte  haiñ  dīvāroñ  se
ahl-e-duniyā  se  ye  kahte  haiñ  mire  nāla-e-dil
ham  sadā  deñge  ġham-e-hijr  ke  mīnāroñ  se
ishq  hamdardī-e-ālam  kā  ravādār  nahīñ
ho  ga.ī  bhuul  'firāq'  aap  ke  ġham-ḳhvāroñ  se