Nazir Siddiqi

kar liya mahfuz KHud ko raegan hote hue

Nazir Siddiqi

1936

kar liyā mahfūz ḳhud ko rā.egāñ hote hue

maiñ ne jab dekhā kisī ko bad-gumāñ hote hue

maslahat-koshī mirī fitrat meñ shāmil na thī

dhuup meñ jhulsā kiyā maiñ sā.ebāñ hote hue

rafta rafta raunaq-e-bāzār baḌhtī ga.ī

vaqt ke chehre pe zaḳhmoñ ke nishāñ hote hue

gar yūñhī jaarī rahā us ke sitam silsila

TuuT jā.ūñgā maiñ ik din saḳht-jāñ hote hue

ḳhushk hoñToñ ke sahāre mujh ko pahchānā gayā

bazm-e-sāqī meñ hujūm-e-tishnagāñ hote hue

us ke meñ jo bhī aayā vo mujhe kahtā rahā

aur maiñ ḳhāmosh thā muñh meñ zabāñ hote hue

dekh kar ḳhud apnī sūrat saḳht hairānī huī

jab maiñ guzrā ā.īnoñ ke darmiyāñ hote hue

mahv-e-hairat ho ke 'nāzir' dekhtā rah gayā

lamha lamha apnī sāñsoñ ziyāñ hote hue

Top Urdushayar.com