raḳht-e-safar  hai  is  meñ  qarīna  bhī  chāhiye
āñkheñ  bhī  chāhiye  dil-e-bīnā  bhī  chāhiye
un  kī  galī  meñ  ek  mahīna  guzār  kar
kahnā  ki  aur  ek  mahīna  bhī  chāhiye
mahkegā  un  ke  dar  pe  ki  zaḳhm-e-dahan  hai  ye
vāpas  jab  aao  to  ise  siinā  bhī  chāhiye
ronā  to  chāhiye  hai  ki  dahlīz  un  kī  hai
rone  kā  rone  vaalo  qarīna  bhī  chāhiye
daulat  milī  hai  dil  kī  to  rakkho  sambhāl  kar
is  ke  liye  dimāġh  bhī  siina  bhī  chāhiye
dil  kah  rahā  thā  aur  ghaḌī  thī  qubūl  kī
makka  bhī  chāhiye  hai  madīna  bhī  chāhiye