mujh  ko  ye  fikr  kab  hai  ki  saaya  kahāñ  gayā
sūraj  ko  ro  rahā  huuñ  ḳhudāyā  kahāñ  gayā
phir  aa.ine  meñ  ḳhuun  dikhā.ī  diyā  mujhe
āñkhoñ  meñ  aa  gayā  to  chhupāyā  kahāñ  gayā
āvāz  de  rahā  thā  koī  mujh  ko  ḳhvāb  meñ
lekin  ḳhabar  nahīñ  ki  bulāyā  kahāñ  gayā
kitne  charāġh  ghar  meñ  jalā.e  ga.e  na  pūchh
ghar  aap  jal  gayā  hai  jalāyā  kahāñ  gayā
ye  bhī  ḳhabar  nahīñ  hai  ki  hamrāh  kaun  hai
pūchhā  kahāñ  gayā  hai  batāyā  kahāñ  gayā
vo  bhī  badal  gayā  hai  mujhe  chhoḌne  ke  baad
mujh  se  bhī  apne  aap  meñ  aayā  kahāñ  gayā
tujh  ko  gañvā  diyā  hai  magar  apne  aap  ko
barbād  kar  diyā  hai  gañvāyā  kahāñ  gayā