gir  jaa.e  jo  dīvār  to  mātam  nahīñ  karte
karte  haiñ  bahut  log  magar  ham  nahīñ  karte
hai  apnī  tabī.at  meñ  jo  ḳhāmī  to  yahī  hai
ham  ishq  to  karte  haiñ  magar  kam  nahīñ  karte
nafrat  se  to  behtar  hai  ki  raste  hī  judā  hoñ
bekār  guzargāhoñ  ko  bāham  nahīñ  karte
har  saañs  meñ  dozaḳh  kī  tapish  sī  hai  magar  ham
sūraj  kī  tarah  aag  ko  maddham  nahīñ  karte
kyā  ilm  ki  rote  hoñ  to  mar  jaate  hoñ  'faisal'
vo  log  jo  āñkhoñ  ko  kabhī  nam  nahīñ  karte