maiñ  ġhaar  meñ  thā  aur  havā  ke  baġhair  thā
ik  roz  āftāb  ziyā  ke  baġhair  thā
sāhil  pe  aa  ke  Duub  ga.ī  naav  apne  aap
ik  shaḳhs  us  meñ  apnī  razā  ke  baġhair  thā
sab  ro  rahe  the  ḳhauf  kī  dīvār  se  lage
kohrām  thā  ki  saut-o-sadā  ke  baġhair  thā
kyuuñ  naqsh-e-pā  tamām  kisī  dā.ere  meñ  the
ye  kaun  thā  jo  dast-e-duā  ke  baġhair  thā
'faisal'  jo  shahr  aap  hī  mismār  ho  gayā
kyā  ilm  kab  se  hamd-o-sanā  ke  baġhair  thā