adāvatoñ  meñ  jo  ḳhalq-e-ḳhudā  lagī  huī  hai
mohabbatoñ  ko  koī  bad-duā  lagī  huī  hai
panāh  detī  hai  ham  ko  nashe  kī  be-ḳhabarī
hamāre  biich  ḳhabar  kī  balā  lagī  huī  hai
kamāl  hai  nazar-andāz  karnā  dariyā  ko
agarche  pyaas  bhī  be-intihā  lagī  huī  hai
palak  jhapakte  hī  ḳhvāhish  ne  canvas  badlā
talāsh  karne  meñ  chehra  nayā  lagī  huī  hai
tū  āftāb  hai  jañgal  ko  dhuup  se  bhar  de
tirī  nazar  mire  ḳheme  pe  kyā  lagī  huī  hai
ilaaj  ke  liye  kis  ko  bulā.iye  sāhab
hamāre  saath  hamārī  anā  lagī  huī  hai