shāmiyānoñ  kī  vazāhat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
aaj  ḳhairāt  hai  dāvat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
dekhtī  hai  hameñ  duniyā  use  rokā  jaa.e
saath  rahte  haiñ  mohabbat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
ham  ne  kaasa  hī  baḌhāyā  hai  duā  dete  hue
dar-ba-dar  jā  ke  shikāyat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
rāsta  hai  ise  milne  kī  jagah  kahte  haiñ
aap  se  milne  kī  zahmat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
aaj  phir  ā.īna  dekhā  hai  ka.ī  saal  ke  baad
kahīñ  is  baar  bhī  ujlat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai
pahlī  dhaḌkan  hī  miyāñ  vazan  meñ  thī  shukr  karo
shā.irī  aaj  ināyat  to  nahīñ  kī  ga.ī  hai