Seen Sheen Alam

kuchh taghaful hai to kuchh naz-o-ada-kari hai

Seen Sheen Alam

Rampur, Uttar pradesh, India

1950

kuchh taġhāful hai to kuchh nāz-o-adā-kārī hai

qahr qahr hai dildārī dildārī hai

iltifāt-e-nigah-e-nāz se bach kar rahnā

jazba-e-ishq tire qatl tayyārī hai

shafqateñ zinda haiñ iḳhlās buniyādoñ par

ab bhī kuchh logoñ meñ pahle ravādārī hai

yahī tahzīb to virse meñ milī hai mujh ko

tum anā samjhe ho jis ko mirī ḳhuddārī hai

silsila ḳhatm hijābāt hotā nahīñ

aa.ina dekhne vaale ko bhī dushvārī hai

aaj raat hai tūfān ke aane ḳhabar

aaj raat charāġhoñ pe bahut bhārī hai

log ḳhush-fahm haiñ ḳhvāb-gazīda 'ālam'

jāgte rahne ko samjhe haiñ ki bedārī hai

Top Urdushayar.com