kisī  kī  khoī  huī  yaad  ke  ishāre  par
maiñ  rañg  DhūñDne  niklā  huuñ  us  sitāre  par
bhale  ye  merā  badan  ret  ban  ke  uḌ  jaa.e
maiñ  apne  zor  meñ  bahtā  rahūñgā  dhāre  par
vahī  damakte  hue  surḳh  lab  vahī  āñkheñ
gumān  jin  kā  huā  thā  mujhe  sharāre  par
jagah  jagah  se  havā  kāTne  lagī  hai  badan
bikhar  na  jaa.eñ  chhatoñ  par  kahīñ  hamāre  par
mirī  giraft  meñ  aate  nahīñ  the  jis  ke  ḳhvāb
usī  ne  dī  thiiñ  ye  āñkheñ  mujhe  ḳhasāre  par
maiñ  paar  kar  chukā  dariyā-e-ḳhvāb  jab  'sājid'
to  vo  dikhā.ī  diye  dūsre  kināre  par