aa.ine  meñ  aks  khiltā  hai  gul-e-hairat  nahīñ
log  sach  kahte  haiñ  āñkhoñ  sī  koī  ne.amat  nahīñ
ab  bahar-sūrat  sar-e-maidāñ  utarnā  hai  mujhe
kār-zār-e-ishq  se  paspā.ī  kī  sūrat  nahīñ
us  ke  hone  se  huī  hai  apne  hone  kī  ḳhabar
koī  dushman  se  ziyāda  lā.eq-e-izzat  nahīñ
sair  karnā  chāhtā  huuñ  maiñ  jahāñ-ābād  kī
aur  ruk  kar  dekh  lene  kī  mujhe  fursat  nahīñ
ishq  par  faa.ez  huuñ  auroñ  kī  tarah  lekin  mujhe
vasl  kā  lapkā  nahīñ  hai  hijr  se  vahshat  nahīñ
raat  vo  aañsū  bahā.e  haiñ  ki  mere  qalb  par
sub.h  kā  āġhosh  vā  karnā  mirī  ujrat  nahīñ
jis  qadar  mahmez  kartā  huuñ  maiñ  'sājid'  vaqt  ko
us  qadar  be-sabr  rahne  kī  use  aadat  nahīñ