mirī  sub.h-e-ḳhvāb  ke  shahr  par  yahī  ik  javāz  hai  jabr  kā
ki  mire  vajūd  ke  baaġh  meñ  abhī  koī  phuul  hai  sabr  kā
kisī  bādbān  kī  oT  meñ  kahīñ  āsmān  ke  sāmne
ye  ziyā  hai  mish.al-e-ḳhvāb  kī  ki  koī  charāġh  hai  abr  kā
kisī  sub.h  ḳhvāhish-e-marg  se  bhī  numūd  paatī  hai  zindagī
kisī  shaam  apne  vajūd  par  bhī  gumān  hotā  hai  qabr  kā
mirī  sham-e-nūr  ke  us  taraf  mirī  ḳhāk-e-sabz  ke  is  taraf
ye  na.ī  zamīn  hai  jabr  kī  ye  nayā  gulāb  hai  sabr  kā
mire  aa.ine  se  judā  huā  jo  charāġh-e-hijr  to  ye  khulā
chaman-e-sitāra-o-rañg  meñ  bhī  kahīñ  qayām  hai  abr  kā