numūd  paate  haiñ  manzaroñ  kī  shikast  se  fat.h  ke  bahāne
charāġh  zinda  kiyā  hai  merā  galī  meñ  dam  toḌtī  havā  ne
ye  jānte  haiñ  ki  sāmne  hai  gurez  kartī  huī  mohabbat
magar  mire  saath  chal  rahe  haiñ  vahī  mazāhir  vahī  zamāne
musāfiroñ  ke  liye  to  yaksāñ  hai  dasht  aur  shahr  se  guzarnā
ki  shaam  hote  hī  taan  lete  haiñ  log  ḳhvāboñ  ke  shāmiyāne
to  kyuuñ  ye  sāhil  kī  dhuup  mere  niDhāl  qadmoñ  se  aa  lagī  hai
mujhe  kināre  lagā  diyā  hai  agar  kisī  shaḳhs  kī  duā  ne
kisī  ko  ik  ātish-e-gumāñ  ne  tamām-tar  raakh  kar  diyā  hai
kisī  ko  kandan  banā  diyā  hai  yaqīn  kī  ḳhāk-e-kīmiyā  ne
har  aan  mere  vajūd  meñ  yuuñ  anā  kī  ta.amīr  ho  rahī  hai
ki  jaise  bhejā  gayā  huuñ  maiñ  bhī  zamīn  par  ik  makāñ  banāne
mujhe  yaqīñ  hai  ki  mere  bas  meñ  hai  manzil-e-shauq  par  utarnā
mujhe  bahut  hausla  diyā  hai  mirī  mohabbat  mire  ḳhudā  ne