said  huuñ  roz-e-azal  se  ālam-e-asbāb  kā
aur  vā  rakhtā  huuñ  siine  meñ  darīcha  ḳhvāb  kā
sāmne  aate  hī  us  ke  merī  vahshat  jaag  uThī
dhyān  rahtā  thā  mujhe  yuuñ  to  bahut  ādāb  kā
kār-zār-e-ishq  se  bāhar  nikal  kar  dekhiye
saarī  bastī  meñ  ujālā  hai  usī  kamyāb  kā
ālam-e-rūyā  maiñ  dekhā  thā  jase  maiñ  ne  kabhī
aks  hai  ab  merī  āñkhoñ  meñ  usī  mehrāb  kā
aa  gayā  āḳhir  kitāb-e-ishq  kā  anjām  bhī
duur  tak  bikhrā  huā  manzar  hai  pahle  baab  kā
shaam  hai  aur  surḳh  peḌoñ  ke  dahakte  saa.e  bhī
niiñd  meñ  bahtā  huā  dhārā  hai  jū-e-āb  kā
kis  liye  'sājid'  banātā  huuñ  gharauñde  ret  ke
ruḳh  badal  saktā  hai  thoḌī  der  meñ  sailāb  kā