koī  gardish  meñ  hai  kyā  dasht  se  ghar  tak  ab  bhī
ḳhaak  uḌtī  hai  mirī  hadd-e-nazar  tak  ab  bhī
le  ga.ī  khīñch  ke  shāyad  unheñ  miTTī  kī  mahak
uḌ  ke  pahuñche  nahīñ  kuchh  phuul  shajar  tak  ab  bhī
rizq  ban  jā.eñge  kuchh  der  meñ  tārīkī  kā
mahv-e-parvāz  haiñ  jo  shams-o-qamar  tak  ab  bhī
apnī  buniyād  pe  qaa.em  haiñ  mire  hosh-o-havās
ḳhuun  chaḌhtā  hai  mire  paañv  se  sar  tak  ab  bhī
jin  ko  paane  kī  tamannā  hai  azal  se  mire  saath
haath  pahuñchā  nahīñ  un  barg-o-samar  tak  ab  bhī
khul  nahīñ  paayā  mirī  ruuh  pe  sahrā  'sājid'
ya.anī  mahdūd  huuñ  maiñ  sair-o-safar  tak  ab  bhī