jab  koī  phuul  musaḳhḳhar  na  ho  āsānī  se
kaam  letā  huuñ  vahāñ  naqd-e-sanā-ḳhvānī  se
raushnī  dene  lage  the  mirī  āñkhoñ  ke  charāġh
raat  taktā  thā  samundar  mujhe  hairānī  se
kar  ke  dekhūñgā  kisī  tarah  lahū  kī  bārish
ātish-e-hijr  bujhegī  na  agar  paanī  se
un  ko  paane  kī  tamannā  nahīñ  jaatī  dil  se
kyā  munavvar  haiñ  sitāre  mirī  tābānī  se
koī  masrūf  hai  taz.īn  meñ  qasr-e-dil  kī
chob-kārī  se  kahīñ  ā.ina-sāmānī  se
ḳhāk-zādoñ  se  ta.alluq  nahīñ  rakhte  kuchh  log
mezbānī  se  ġharaz  un  ko  na  mehmānī  se
maiñ  isī  ḳhaak  pe  baiThā  huuñ  baḌe  shauq  ke  saath
koī  nisbat  nahīñ  ab  tak  mujhe  sultānī  se
band  ho  jaa.e  agar  rauzan-e-imkān-e-ḳhayāl
ḳhvāb  khulte  haiñ  mire  dil  meñ  farāvānī  se
merī  sūrat  se  jo  bezār  haiñ  ab  bhī  'sājid'
kab  vo  ḳhush  hoñge  mire  tarz-e-musalmānī  se