mil  ga.ī  hai  bādiya-paimā.ī  se  manzil  mirī
kaam  aa.ī  hai  bil-āḳhir  sa.i-e-lā-hāsil  mirī
paañv  dharne  ko  mayassar  aa  nahīñ  paatī  zamīñ
naav  ruk  jaatī  hai  aa  kar  jab  lab-e-sāhil  mirī
ik  kamī  merī  tag-o-dau  meñ  kahīñ  maujūd  hai
ho  nahīñ  paa.ī  abhī  tak  koī  shai  kāmil  mirī
mil  nahīñ  paatī  ḳhud  apne-āp  se  fursat  mujhe
mujh  se  bhī  mahrūm  rahtī  hai  kabhī  mahfil  mirī
maiñ  yahīñ  rah  jā.ūñgā  ho  kar  asīr-e-dām-e-asr
raah  taktā  hī  rahegā  merā  mustaqbil  mirī
kyā  bachā.ūñ  daan  meñ  kyā  duuñ  samajh  aatā  nahīñ
daulat-e-dil  māñgtā  hai  mujh  se  ik  saa.il  mirī
koī  apne  se  gilā  hotā  na  'sājid'  dahr  se
ġhaur  se  ik  baat  sun  letā  agar  ye  dil  mirī