rujūa  karte  hue  apne  mudda.ā  se  maiñ
tire  alāva  bhī  kuchh  maañg  luuñ  ḳhudā  se  maiñ
koī  charāġh  agar  ho  mire  ta.āqub  meñ
thakan  sameTtā  jā.ūñ  nuqūsh-e-pā  se  maiñ
faqīr  huuñ  isī  kūche  meñ  ḳhaak  phāñktā  huuñ
sadā  lagā  nahīñ  saktā  magar  hayā  se  maiñ
rukūñgā  jā  ke  kisī  ḳhūb-rū  kī  chaukhaT  par
galī  meñ  phuul  khilātā  huā  duā  se  maiñ
kabhī  kabhī  yūñhī  apne  se  pūchh  letā  huuñ
kisī  ke  khoj  meñ  niklā  thā  kab  sabā  se  maiñ
mire  baġhair  mukammal  nahīñ  hai  ye  duniyā
ki  is  qaziye  meñ  shāmil  huuñ  ibtidā  se  maiñ
shaguft  hotā  huā  aa.ina  hai  dil  merā
mire  ḳhudā  abhī  mahfūz  huuñ  riyā  se  maiñ
ragoñ  meñ  barf  banī  niiñd  ke  pighalne  par
tumheñ  pukārte  niklūñgā  nainvā  se  maiñ
sunā  hai  raah  meñ  hote  haiñ  sāya-dār  shajar
kabhī  milūñgā  kisī  dard-āshnā  se  maiñ
lagā  rahūñgā  yūñhī  vasl  kī  tag-o-dau  meñ
marūñ  ki  zinda  rahūñ  aap  kī  balā  se  maiñ
gulāb  khilne  lage  haiñ  mirī  rag-o-pai  meñ
kahūñgā  jā  ke  chaman  meñ  kabhī  sabā  se  maiñ
hadaf  banā.ūñ  kisī  sūrmā  ko  ab  'sājid'
tamām  umr  na  laḌtā  rahūñ  havā  se  maiñ