āzād  ho  chukā  koī  zanjīr  ho  chukā
ya.anī  dayār-e-ḳhvāb  bhī  tasḳhīr  ho  chukā
pārīna  ho  chukī  hai  bahut  dāstān-e-ishq
ik  shahr-e-dasht  najd  meñ  ta.amīr  ho  chukā
barbād  kar  chukā  huuñ  bahut  kuchh  ba-nām-e-ḳhvesh
aur  jo  bachā  thā  ġhair  kī  jāgīr  ho  chukā
kyā  vaqt  aa  gayā  hai  mirī  nasl  par  ki  ab
merā  adū  bhī  sāhab-e-tauqīr  ho  chukā
saiqal  kiyā  hai  maiñ  ne  ise  apne  ḳhuun  se
kis  darja  saaf  ab  ruḳh-e-shamshīr  ho  chukā
kaisī  badal  ke  rah  ga.ī  hai  merī  kā.enāt
vo  ḳhush-mizāj  phuul  bhī  dil-gīr  ho  chukā
'sājid'  nigāh  Dāliye  ab  ird-gard  bhī
zikr-e-rumūz  rañg-e-asātīr  ho  chukā