nigār-ḳhāna-e-arz-o-samā  milā  ki  nahīñ
agar  milā  to  koī  dilrubā  milā  ki  nahīñ
shikasta-dil  ko  zarūrat  hai  khilkhilāne  kī
payām-e-gul  se  tujhe  hausla  milā  ki  nahīñ
siyāh  niiñd  meñ  jalte  hue  charāġhoñ  ko
kisī  galī  meñ  koī  jāgtā  milā  ki  nahīñ
ruke  hue  to  ruke  hī  raheñge  tā-dam-e-marg
jo  chal  paḌe  the  unheñ  rāsta  milā  ki  nahīñ
kisī  ko  phuul  khilāte  hue  mire  ghar  meñ
koī  damaktā  huā  aa.ina  milā  ki  nahīñ
shaguft-e-ḳhvāb  se  bhīgī  huī  in  āñkhoñ  meñ
koī  sitāra  mire  kaam  kā  milā  ki  nahīñ
ġhazal  ko  sab  ke  liye  aa.ina  banāte  hue
kisī  parī  se  tirā  qāfiya  milā  ki  nahīñ
rukā  thā  aur  kahāñ  kārvān-e-rāhat-e-ishq
phir  us  ke  ba.ad  vo  shīrīñ-adā  milā  ki  nahīñ
savāl  karte  haiñ  aksar  mire  adū  'sājid'
ki  is  nagar  meñ  koī  āshnā  milā  ki  nahīñ