huā  raushan  dam-e-ḳhurshīd  se  phir  rañg  paanī  kā
damak  uTThā  hai  mere  aa.ine  par  zañg  paanī  kā
muqayyad  rañg  khilte  hoñ  kisī  billor  se  jaise
khulā  is  tarah  mere  ḳhvāb  par  arzañg  paanī  kā
kisī  anjān  ḳhushbū  se  tabī.at  sair  hai  us  kī
agarche  qāfiya  kuchh  roz  se  hai  tañg  paanī  kā
satātā  hai  jo  dasht-e-nā-murādī  ke  asīroñ  ko
vo  taarā  us  hasīñ  ke  sāmne  hai  dañg  paanī  kā
bahut  hī  yaad  aatā  hai  koī  bachhḌā  huā  mujh  ko
kabhī  jab  sāmnā  kartā  huuñ  shoḳh-o-shañg  paanī  kā
abhī  fursat  nahīñ  hai  kār-e-duniyā  meñ  ulajhne  kī
magar  tabdīl  kar  saktā  huuñ  maiñ  bhī  Dhañg  paanī  kā
bahut  din  se  maiñ  'sājid'  darmiyāñ  huuñ  apne  pyāroñ  ke
ki  ThanDā  paḌ  chukā  hai  ab  mahāz-e-jañg  paanī  kā