kahīñ  mohabbat  ke  āsmāñ  par  visāl  kā  chāñd  Dhal  rahā  hai
charāġh  ke  saath  tāqche  meñ  gulāb  kā  phuul  jal  rahā  hai
bahut  dinoñ  se  zamīn  apne  madār  par  bhī  nahīñ  hai  lekin
abhī  vahī  shaam  chhā  rahī  hai  abhī  vahī  din  nikal  rahā  hai
mujhe  yaqīñ  thā  maiñ  in  sitāroñ  ke  saa.e  meñ  umr  bhar  chalūñgā
bahut  hī  āhistagī  se  lekin  ye  saarā  manzar  badal  rahā  hai
kabhī  mohabbat  se  baaz  rahne  kā  dhyān  aa.e  to  sochtā  huuñ
ye  zahr  itne  dinoñ  se  mere  vajūd  meñ  kaise  pal  rahā  hai
kahīñ  ravānī  meñ  baḌh  rahe  haiñ  kahīñ  sitāre  ruke  hue  haiñ
ḳhabar  nahīñ  kā.enāt  kā  ye  nizām  kis  tarah  chal  rahā  hai
abhī  gumāñ  tak  nahīñ  hai  'sājid'  use  maiñ  phir  yaad  bhī  karūñgā
magar  ye  kyuuñ  aa.ine  se  haT  kar  vo  aks  bhī  haath  mal  rahā  hai