kis  ne  dī  āvāz  ''sipar  kī  oT  meñ  thā''
merā  sar  to  us  ke  sar  kī  oT  meñ  thā
maiñ  ne  saat  parinde  uḌte  dekhe  the
ek  parinda  aur  shajar  kī  oT  meñ  thā
maidānoñ  shahroñ  meñ  log  salāmat  haiñ
marne  vaalā  apne  ghar  kī  oT  meñ  thā
yuuñ  jaagī  hai  aag  sabhī  dālānoñ  meñ
jaise  koī  haath  sharar  kī  oT  meñ  thā
kyuuñ  āñhkeñ  ummīdoñ  kī  mehmān  rahīñ
shāyad  koī  ḳhvāb  safar  kī  oT  meñ  thā
aaj  khulā  dushman  ke  pīchhe  dushman  the
aur  vo  lashkar  is  lashkar  kī  oT  meñ  thā
'sājid'  aaj  hunar  hai  us  ke  saa.e  meñ
lekin  kal  fankār  hunar  kī  oT  meñ  thā