hoñToñ  par  hai  baat  kaḌī  ta.azīreñ  bhī
ḳhāmoshī  kā  rañg  huiiñ  taqrīreñ  bhī
ḳhauf  yahī  hai  aane  vaalī  nasloñ  ko
ek  ajūba  hoñgī  ye  tahrīreñ  bhī
mausam  ke  sau  ruup  magar  in  āñkhoñ  meñ
ḳhvāb  vahī  haiñ  ḳhvāboñ  kī  ta.abīreñ  bhī
ā.inda  ke  saañs  hamāre  apne  haiñ
TuuT  chukīñ  is  va.ade  kī  zanjīreñ  bhī
ek  ajab  hairat  meñ  gum-sum  rahtī  haiñ
dīvāreñ  dīvāroñ  par  tasvīreñ  bhī
paanī  kī  ḳhāmosh  sadā.eñ  kaun  sune
ḳhatm  huiiñ  jab  miTTī  kī  tāsīreñ  bhī