aaj  ā.īñe  meñ  jo  kuchh  bhī  nazar  aatā  hai
us  ke  hone  pe  yaqīñ  bār-e-digar  aatā  hai
zehn  o  dil  kartā  huuñ  jab  rañj-e-jahāñ  se  ḳhālī
koī  be-tarah  mirī  ruuh  meñ  dar  aatā  hai
guftugū  karte  hue  jaate  haiñ  phūloñ  ke  giroh
aur  chupke  se  daraḳhtoñ  pe  samar  aatā  hai
bach  nikalne  pe  mire  ḳhush  nahīñ  vo  jān-e-bahār
koī  ilzām  mukarrar  mire  sar  aatā  hai
lauT  jaane  kī  ijāzat  nahīñ  dūñgā  us  ko
koī  ab  mere  ta.āqub  meñ  agar  aatā  hai
merī  āñhkeñ  bhī  mayassar  nahīñ  ātīñ  mujh  ko
jab  mulāqāt  ko  vo  ḳhvāb-e-sahar  aatā  hai
merī  qismat  hai  ye  āvāra-ḳhirāmī  'sājid'
dasht  ko  raah  nikaltī  hai  na  ghar  aatā  hai