nashāt-e-fat.h  se  to  dāman-e-dil  bhar  nahīñ  paa.e
magar  kyuuñ  hārne  vaale  mohabbat  kar  nahīñ  paa.e
mudāvā  kis  tarah  hogā  vahāñ  zañgār-e-vahshat  kā
agar  kuchh  aa.ine  ham  ne  sitāroñ  par  nahīñ  paa.e
fasīl-e-shahr  se  aage  zarā  sā  dasht  khiskā  thā
aur  is  ke  ba.ad  logoñ  ne  bahut  se  ghar  nahīñ  paa.e
sukūt-e-marg  kyā  TuuTe  ki  ham  ne  shahar  se  bāhar
daraḳhtoñ  meñ  parinde  bhī  ziyāda-tar  nahīñ  paa.e
kisī  ne  faqr  se  apne  ḳhazāne  bhar  liye  lekin
kisī  ne  shahryāroñ  se  bhī  sīm-o-zar  nahīñ  paa.e
dayār-e-ishq  ke  paudoñ  meñ  ab  bhī  phuul  aate  haiñ
ki  ham  ne  bhiik  meñ  'sājid'  kabhī  aḳhgar  nahīñ  paa.e