laraz  jaatā  hai  thoḌī  der  ko  tār-e-nafas  merā
sar-e-maidāñ  kabhī  jab  jast  kartā  hai  faras  merā
maiñ  ḳhud  se  duur  ho  jaatā  huuñ  us  se  duur  hone  par
rihā.ī  chāhtā  huuñ  aur  muqaddar  hai  qafas  merā
zarā  mushkil  se  ab  pahchāntā  huuñ  in  manāzir  ko
qayām  us  ḳhāk-dāñ  par  thā  abhī  pichhle  baras  merā
duā  kartā  huuñ  milne  kī  tamannā  kar  nahīñ  paatā
bhalā  kyā  sāmnā  kar  pā.eñge  ahl-e-havas  merā
nahīñ  bhūlegī  merī  dāstān-e-ishq-e-duniyā  ko
ki  sahrā  meñ  abhī  tak  naam  letī  hai  jaras  merā
numūd-e-aks  kī  is  ko  zamānat  kaun  de  'sājid'
nahīñ  hai  jab  shaguft-e-ā.īna  par  koī  bas  merā