jahāñ  meñ  Dālte  rahte  haiñ  mā-sivā  kī  tarah
daraḳht  chal  nahīñ  sakte  magar  havā  kī  tarah
bhaTak  kar  aa.ī  thī  kuchh  der  ko  idhar  duniyā
lipaT  ga.ī  mire  dil  se  kisī  balā  kī  tarah
mire  hisār  se  bāhar  bhī  vo  nahīñ  rahtā
mire  qarīb  bhī  aatā  nahīñ  ḳhudā  kī  tarah
bahut  se  rañg  utarte  haiñ  merī  āñkhoñ  meñ
kisī  ke  dhyān  meñ  uljhī  huī  sadā  kī  tarah
utar  gayā  mire  dil  meñ  vo  be-dhaḌak  lekin
laboñ  par  aa  nahīñ  paayā  hai  mudda.ā  kī  tarah
ravāñ-davāñ  haiñ  mire  ās-pās  kī  ashiyā
paḌā  huā  huuñ  zamīñ  par  maiñ  naqsh-e-pā  kī  tarah
simaT  sakūñgā  na  apne  vajūd  meñ  'sājid'
pahan  liyā  hai  kisī  ne  mujhe  qabā  kī  tarah