din  ke  paikar  meñ  kahīñ  raat  meñ  Dhalte  hue  rañg
jaane  rukte  haiñ  kahāñ  niiñd  meñ  chalte  hue  rañg
āḳhirī  sham.a  bujhāte  hue  apne  ghar  kī
maiñ  dekhe  the  kisī  taaq  meñ  jalte  hue  rañg
us  parī-zād  kī  āñkhoñ  meñ  dikhā.ī  deñge
ek  hī  pal  meñ  ka.ī  rañg  badalte  hue  rañg
sar  uThāte  haiñ  mire  Dūbte  lahje  meñ  kahīñ
guftugū  karte  hue  lafz  ugalte  hue  rañg
sub.h-dam  ghar  se  nikalnā  hī  agar  paḌ  jaa.e
niiñd  se  aañkh  churātā  huuñ  masalte  hue  rañg
haar  aayā  huuñ  kisī  ā.ina-ḳhāne  meñ  unheñ
mere  hamrāh  nahīñ  aaj  uchhalte  hue  rañg
ik  badaltī  huī  duniyā  ke  makīñ  haiñ  'sājid'
ḳhaak  par  girte  hue  aur  sambhalte  hue  rañg