nahīñ  āsāñ  kisī  ke  vāste  taḳhmīna  merā
muqarrar  hai  dayār-e-ġhaib  se  rozīna  merā
dam-e-ruḳhsat  agar  maiñ  hausle  se  kaam  letā
palaT  kar  dekh  saktā  thā  use  ā.īna  merā
hadaf  ban  pā.eñgī  āñkheñ  na  mere  dushmanoñ  kī
muqābil  hai  ḳhadañg-e-ḳhvāb  ke  ab  siina  merā
paḌā  rahtā  huuñ  kunj-e-āfiyat  meñ  sar  chhupā  kar
guzar  jaatā  hai  yuuñ  hī  sabt  aur  ādīna  merā
buḌhāpā  chhā  rahā  hai  mere  har  jazbe  pe  lekin
javāñ  hotā  chalā  jaatā  hai  phir  bhī  kiina  merā
badal  saktā  thā  mere  shahr  kā  āhañg  'sājid'
agar  tartīb  pā  saktā  kabhī  sāzīna  merā