matā-e-dīd  to  kyā  jāniye  kis  se  ibārat  hai
charāġh-e-ḳhvāb  hī  kuchh  der  raushan  ho  ġhanīmat  hai
kisī  ke  dar  pe  dastak  duuñ  to  ḳhud  bāhar  nikaltā  huuñ
ḳhabar  kyā  kaun  se  ghar  tak  tire  ġham  kī  riyāsat  hai
sañvarte  zāviyoñ  meñ  muskurātī  shakl  hai  merī
chaTaḳhte  ā.inoñ  meñ  bhī  koī  merī  hī  sūrat  hai
sitāroñ  ke  jilau  meñ  aur  kitnī  duur  tak  le  jaa.eñ
kaho  to  sub.h  hone  tak  bhalā  kitnī  masāfat  hai
nadāmat  phuul  se  nāzuk  laboñ  par  barf  kī  sil  hai
aur  āñkhoñ  meñ  kisī  biite  hue  din  kī  vazāhat  hai
mire  mash.al  jalāte  hī  sitāra  Duub  kar  niklā
maiñ  samjhā  huuñ  mujhe  bhī  lauT  jaane  kī  ijāzat  hai
kabhī  majbūr  kar  denā  kabhī  majbūr  ho  jaanā
yahī  terā  vatīra  hai  yahī  terī  siyāsat  hai
mujhe  apnī  qasam  'sājid'  maiñ  us  ke  kaam  ā.ūñgā
agar  ye  ilm  ho  jaa.e  kise  merī  zarūrat  hai