ā.ina-āsā  ye  ḳhvāb-e-nīlamīñ  rakkhūñgā  maiñ
aur  us  ujle  sitāre  par  yaqīñ  rakkhūñgā  maiñ
umr  bhar  ḳhush  aa.egī  kyā  merī  tanhā.ī  mujhe
rābta  har  chand  logoñ  se  nahīñ  rakkhūñgā  maiñ
shahr  hī  aisā  añdherā  hai  ki  ik  din  bhuul  kar
tāqche  meñ  phir  charāġh-e-avvalīñ  rakkhūñgā  maiñ
raas  aatī  hī  nahīñ  jab  pyaar  kī  shiddat  mujhe
ik  kamī  apnī  mohabbat  meñ  kahīñ  rakkhūñgā  maiñ
ek  saaya  sā  guzar  jā.egā  mauj-e-nūr  se
jab  ujāle  meñ  vo  shāḳh-e-yāsmīñ  rakkhūñgā  maiñ
haañ  yahī  miTTī  virāsat  hai  mire  ajdād  kī
lauT  kar  apnī  kamā.ī  bhī  yahīñ  rakkhūñgā  maiñ