kabhī  charāġh  kabhī  rāsta  badal  kar  dekh
bahut  qarīb  hai  manzil  zarā  sā  chal  kar  dekh
tire  hisār  se  bāhar  nahīñ  zamān-o-makāñ
tū  merī  tarah  kisī  aa.ine  meñ  Dhal  kar  dekh
faqīr  ban  ke  vo  aayā  hai  terī  chaukhaT  par
ye  koī  aur  nahīñ  hai  zarā  sambhal  kar  dekh
nigār-ḳhāna-e-gardūñ  ko  raakh  karte  hue
zarā  sī  der  kisī  tāqche  meñ  jal  kar  dekh
zamīn  tañg  huī  jā  rahī  hai  logoñ  par
hudūd-e-qarya-e-jāñ  se  kabhī  nikal  kar  dekh
ravāñ-davāñ  haiñ  kisī  samt  meñ  ki  sākit  haiñ
phir  ek  baar  sitāroñ  kī  aañkh  mal  kar  dekh
ajiib  lutf  hai  tark-e-nashāt  meñ  'sājid'
jo  ho  sake  to  mirī  baat  par  amal  kar  dekh