qarya-e-hairat  meñ  dil  kā  mustaqar  ik  ḳhvāb  hai
ye  zamīñ  ik  aa.ina  hai  ye  nagar  ik  ḳhvāb  hai
tañgī-e-auqāt  se  khultī  hai  ik  rāh-e-najāt
vus.at-e-imroz-o-fardā  se  udhar  ik  ḳhvāb  hai
ek  sub.h-e-nūr  hai  mere  sitāre  kī  niyām
aur  mirī  be-teġh  āñkhoñ  kī  sipar  ik  ḳhvāb  hai
ye  zamīn-o-āsmāñ  donoñ  haqīqat  haiñ  magar
ḳhaak  par  maujūd  hone  kī  ḳhabar  ik  ḳhvāb  hai
saañs  ruktā  hai  to  gul  hotī  hai  sham-e-justujū
raat  bhar  bedār  rahne  kā  samar  ik  ḳhvāb  hai
ek  mauj-e-āb  hai  ik  aks  meñ  lipTī  huī
ek  mauj-e-rañg  se  shīr-o-shakar  ik  ḳhvāb  hai